Phir maheenay guzartay gaey...roz kay jhagray mamool ban gaey thay.. May har waqt stress may rehnay lag para tha.. Mujhay sukoon milta tha haleema kay saath khel kay. Kulthum ki aur cheezain bhi mujhay bother karnay lag pari theen. Kitchen may bartan jama ho jaatay thay jo do teen din baad mujhay dhonay partay thay… mailay kapron ka anbaar lag jaata.. Pata nahi kia ho gaya tha. Shayad us kay dil may meray liye ab woh pyar nahi tha jo shadi say pehlay tha. Maynay to apni zindagi kabhi us kay baghair nahi sochi thi. Us ki kuch aadtaon say mujhay uljhan thi phir bhi yeh khayal kabhi dil may nahi aaya kay meri zindagi us kay baghair bhi ho sakti hay.
Haleema ab do saal ko honay ko thi. Meri company kay tamam projects is province may taqreeban khatm hi honay walay thay. Boss nay kaha kay hum ab Canada may projects continue nahi karengay to tum meray saath Saudia chalo. May saudia move nahi hona chahta tha. Saudia jaanay ka matlab tha bilkul nai jaga, naya culture aur language sab say bara masla. Mujhay to arbi say lagao tha per kulthum ko to bahut mushkil ho jati. May nay us ki offer refuse kar di. Ab phir say job ki search karni thi. Halal meat ka kaam ab bhi ghar say kar raha tha to socha kay isi tarah ka koi apna kaam karna hay. Tab mujhay pata chala kay Saint John jo qareeb hi ek shahr tha, wahan koi Halal meat shop nahi thi. Community bari thi aur shehr ziyada door bhi na tha. Kulthum aur may pehlay Saint John eid per do teen dafa aai thay aur hum dono ko yahan ki masjid aur log achay lagay thay. Istikhara kia aur Saint John move honay ka irada kar liya.
Saint John may ek ghar karaye per liya, jo kay fredericton walay apartment say bahut bara tha. Us ghar kay saath ek garage tha jis ko modify karkay ek choti si shop bananay ka irada tha. Meat kay ilawa doosri grocery bhi rakhni thi. Choonkay ghar residential zone may tha is liye wahan legally dukan bananay ki ijazat nahi thi. Hum nay socha kay hum ek website banaingay aur log website say orders place karaingay aur may un ko delivery karoonga. Aajkal yeh bahut common hay per 2007 may yeh ek naya idea tha. Kulthum bhi is may excited thi. Lekin is sab ko karnay kay liye paisa kahan say aaiga. Yeh tha million dollar question jis kay jawaab kay liye dimagh may 1000 ideas aatay thay.
Mera ek dost tha, Babar, jis ki Fredericton may grocery ki dukan thi. May Halal meat us ki dukan per bhi supply karta tha. Us say baat ki kay Saint John may main ek aisi hi dukan banana chahta hoon lekin capital investment kay liye paisa chahye. Babar nay kaha cash to may nahi day sakta haan itni help kar sakta hoon kay tumhain apni dukan say inventory day doon. Phir tum aahista aahista us ka paisa chuka dena. This was just brilliant for me. May aisi hi kisi deal ki talash may tha. Babar nay is silsilay may bahut help ki aur initial inventory ka bandobast kar diya. May nay garage per ek do workers laga kar shelf waghaira lagwa liye.. Kuch deep freezers rakhay aur alhamdulillah choti si ek dukan set ho gaee. Phir Gul kay saath mil kar website develope ki aur masjid say start liya. Masjid may annoucement karwai aur logon ki emails ikathi keen. Kartay kartay indian pakistani community may business kay charchay ho gaey. Waisay mainay yeh business baqaida taur per register karwa rakha tha. Community ka response bahut acha tha. Log products say bahut khush thay. Kulthum meray saath saath kaam karti. Waisay kulthum lazy nahi thi.. Jis kaam ki thaan lay woh karti zimmadari say thi. Choonkay ab meri koi aur job na thi to may concentrate kar sakta tha farm per jaana aur Halal meat ko regularly available rakhna. Babar kay saath bhi ek setting ho gaee thi… jab woh apni dukan kay liye samaan order karta to may bhi us may apna order add kar deta. Is tarah hum dono ko wholesalers say achay rate mil jaatay.
Is kaam ki wajah say mere paas kuch extra time hota jo may community may volunteer karta. Saturday aur Sunday ko kuch bachay hamaray ghar Quran parhnay aatay. Kulthum nay choonkay Quran proper tareeqah say madrassay say bhi parha tha is liye woh bhi bachion ko Quran parhati. Yeh hamari ek volunteer activity thi. Phir ek din kulthum nay kaha keh woh ek program join karna chahti hay. Yeh program Public Health walon ki taraf say hay jis may koi professional hamaray ghar aai ga aur haleema ki growth assessment karay ga. Mujhay is qisam ki cheezon may ziyada dilchaspi nahi thi aur may kulthum say koi jhagra nahi karna chahta tha...khuda khuda kar kay to ab hamaray jhagray kam huay thay. May nay kaha theek hay.
Linda jo kay ek social worker thi, umar may hum say bahut bari thi, woh hamaray ghar aana shroo hui. Woh haleema kay saath mukhtalif activities karti aur phir weekly reports bana kar deti. Waisay to yeh program govt ka tha lekin mujhay samajh nahi aati thi kay linda hamari family may itni dilchaspi kiyoun leti hay. Kulthum, Linda say bahut impressed thi aur us ki bahut aao bhagat karti thi. Kai dafa to woh apas may gappain lagati rehti theen. Mujhay feel hua shayad kulthum apni friends ko miss karti hay aur is tarah Linda ki soorat may us ko ek nai dost mil gayee hay. Ghar ka mahol bahut behtar ho chuka tha. Mujhay yeh bhi mehsoos hua kay agar hamara kaam aisay chalta raha aur kulthum meray saath kaam karti rahi to is say behtar koi job ho nahi sakti. Saara din ikathay bhi rahain gay aur kaam bhi chalta rahay ga. Mujhay lag raha tha kay ab halaat behtri ki taraf jaingay.
Khabar mili kay Faisal south Africa say Mariam kay saath wapas aa raha hay. Us nay Alim ka course complete kia tha aur woh kuch arsa Mariam kay Abu Ammi kay paas aa raha tha. May nay Faisal say kaha kay mujhay bhi milnay aao..ab to 6,7 saal ho gaey hain tujhay dekhay. Us nay kaha Mariam ko lay kar Saint John aaiga. Main nay Kulthum ko kaha Faisal aur Mariam hamaray mehmaan hongay. Kulthum ko yeh baat achi na lagi. Pata nahi kiyoun, halaankay woh to Mariam ko kabhi mili bhi nahi thi. Phir wohi hua jis ka darr tha. Jab Faisal aur Mariam aai to us ka Mariam say jhagra hua. Baat kuch bhi nahi thi, bahut mamuli sa issue tha. Mujhay Faisal kay aagay bahut sharam aai. Faisal kehta raha koi baat nahi bari behn hay..ghussa kar diya to kia hua. Mariam umar may kulthum say bahut choti thi is liye woh to agay say kuch na boli magar us din kay baad un ki apas may kabhi na bani. Woh log ek hafta reh kar wapas Montreal chalay gaey.
Under hi Under mujhay itna ghussa aa raha tha kay Kulthum ki is harkat nay mera mazaq urwaya aur Faisal kay aagay mujhay sharminda hona para. Mainay us ko confront kia to woh wapas usi mood may aa gaeey. Cheekhna chilana aur kehna kay main to Mariam ki side loonga kiyounkeh woh meray bhai ki biwi hay. May nay kaha may kisi ki side nahi lay raha per jo tum nay ghar aai mehman kay saath kiya kia woh sahi tha. Us ka jawab tha.. Whatever..
Yeh mujh say bardasht na hua. May nay us ko bazoo say pakra aur ghussay may kaha kay apni hadd may raho. Har baat bardasht kay qabil nahi hoti. Agar tum apni hadd may na rahi to mera ghazab dekho gi. Us nay kuch kaha nahi per us ki aankhon may mujhay woh sholay nazar aai kay agar us kay bass may us waqt hota to mujhay jala deti. Yeh keh kar may wahan say chala gaya. Kulthum ka yeh bhi ek record hi raha hay kay aaj tak us nay mujh say kabhi kisi cheez ki maafi nahi maangi. Yeh to may hi kambakht tha kay ghussa utarnay kay baad dil ko bahut bura lagta aur ja kar us ko mana leta aur maafi bhi maang leta halankay ghalti bhi mujhay usi ki lagti thi.