Sunday, January 31, 2021

Kon hay tu - Part 15

 Haleema kay hamari zindagi may aatay hi bahut ronaq lag gaee. Ghar may ek aur fard aa gaya jis ki apni hi demands hoti theen. Kai dafa to may office say ghar bhi jaldi jaata tha Haleema ko dekhnay kay liye. Bahut dafa to woh so rahi hoti thi aur may us ko dekhta rehta tha. Kulthum bahut ziyada attached thi haleema say aur bahut shoq say us ka khayal rakhti thi. Lekin Haleema ki wajah say woh bahut thak jaati thi kiyounkay raaton ko uthna parhta tha aur kai dafa to woh Haleema ko doodh pila rahi hoti per khud soo rahi hoti thi. Mujhay feel to bahut hota tha per may kia kar sakta tha. Phir sochta tha bas thora time guzray aur woh bari ho jaye to sab theek ho jayega. Ek aur masla jo mainay note kia woh yeh tha keh Kulthum bahut chirchiri hoti jaa rahi thi.. Choti choti baat per jhagarna shroo kar deti thi. Jab Haleema kay saath hoti thi to bahut calmed down hoti thi per mujh say thori si baat kartay hi kisi baat per larna shroo kar deti thi. May amooman apni aadat kay mutabiq doosray kamray may chala jaata ya kisi kaam may masroof kar leta. Lekin us ki yeh nai adat mujhay ander hi ander bahut disturb kar rahi thi. Dimagh kehta tha kay us ko khayal rakhna chaye apni hadd ko jo bar bar meray aagay cheekhna shroo kar deti hay per dil kehta kay shayad neend poori nahi hoti to is wajah say us kay mizaj may itna chirchira pan aa gaya hay.


May kabhi kabhi long drive per lay jaata dono ko taakay mahol badlay. Taqreeban saara province dikha diya tha Kulthum ko… sari country side. Bahut say yahan rehnay walon nay bhi woh ilaqay na dekhay hongay. Haleema ka aqeeqa pooray dil laga kar kiya. May nay khud do dumbay zibah kiye thay aur doston kay saath mil kar bbq kia… saari community kay mardon ko bulaya us bbq per. Ek haftay baad community ki aurton ki alag gathering ki aur bahut saara khana banwaya taakay kum na ho.. Taqreeban 400 kay qareeb log hongay. Yeh meri haleema ki qismat thi kay aqeeqa itna shandar hua aur Allah nay kulthum aur mujhay karnay ki taufeeq di.



Haleema kay aanay ki wajah say kulthum ko apni job bhi chorni pari. Ab saara ghar chalanay ki zimmadari meri thi. May kuch paisay abhi bhi Abu ko bhejta tha taakay ammi ka qarza utar sakay. Phir woh paisay bhaijna bhi band ho gaey kiyounkeh apnay ghar ka hi poora nahi ho pa raha tha. May nay kulthum say mashwara karna chaha kay ghar ki income kaisay barhai ja sakti hay. Abhi itna hi kaha to woh bigar gaee kay may us ko yahan is liye laya hoon taakay us ko kaam karwa sakoon. Phir chup ho gaya. Yahi socha kay woh kehti to theek hay, yeh karna to mujhay hi hay. Job kay saath saath may nay Halal meat ka kaam shroo kia. Yahan choti jaga honay ki wajah say Halal meat bahut mushkil say milta tha. Ek libya ka dost tha jis nay mujhay bakra aur gaye zibah karna sikhai thi. Bus dil may aaya kay maheenay may ek dafa farm per ja kar kuch jaanwar zibah kar loon aur gosht kay packet butcher say banwa kar freeze kar loon. Phir jis ko jitna chahye woh ghar say baichoon. Is kay do faiday thay. Ghar ka gosht ka masla bhi hal ho jayega aur kuch paisay bhi ban jaingay. Kulhum say poocha woh is may saath daygi. Us nay haami bhar li. 


Yeh kaam physically bahut exhausting tha per mujhay kuch na kuch to karna tha. Shroo may to kaam theek gaya phir kabhi kabhar customer ki complaint aa jati. Customers kay saath kulthum khud hi phone per deal karti thi kiyounkay may to office may hota tha. Customers hamaray community kay hi musalman thay jin ko hum jaantay hi thay. Complaint aati to kulthum ko bahut bura lagta aur jaisay woh customer us ki bad books may aa jata. Tab may nay feel kiya kay kulthum dil may rakhi baat kabhi bhulati nahi hay. Jaisay english may kahawat hay Forgive and Forget.. Kulthum bilkul us kay ulat thi. Us ko har baat yaad rehti thi aur woh kabhi kisi ko muaf karnay ki qail na thi. Jab may nay yeh kai dafa note kia to ek din us ko samjhaya kay hum musalman to Husn Zann denay wali qaum hay. Agar tum har kisi ki kami ko apnay dil may lay kar beth jaogi to tumhari apni zindagi mushkil ho jayegi. Is buri aadat ka asar yeh bhi hua kay woh kabhi kisi say madad lenay kay haq may na hoti, madad offer bhi karti to us ko jo us ki good books may hota. 


Yeh meray mizaj kay bilkul ulat tha. May madad mangta bhi aur karta bhi bila tafreeq. Mera maanNa tha kay isi say bhai chara barhta hay. Halal meat ka kaam shroo may theek gaya, phir may exhaust hona shroo ho gaya kiyoukay mujhay shehr say bahir farm may jana parhta aur yeh kaam har do haftay baad karna parta. Meray asl kaam ka haraj hona shroo ho gaya. Yves nay bhi note kia kay may har waqt fresh nahi hota. Haleema ki wajah say may ghar per office ka kaam na lata tha to phir office late ruknay lag para. Pehlay dopehr ka khana hum saath may khatay thay, ab hum raat kay khanay per hi ikathay hotay. Office may dayr tak kaam kay baad may Masjid chala jata.. Wahan Isha say farigh ho kar hi ghar jata. Ek do dafa kulthum nay kaha kay may ab dayr say ghar kiyoun aata hoon. Bataya.. Kaam ziyada hay.. Ghar laa nahi sakta.. Haleema ki wajah say ghar kaam karna mushkil ho jata hay. Kehnay lagi kaam ziyada hay ya koi aur activities chal rahi hain… mujhay bahut ghussa aaya.. Phir socha shayad mazaq kar rahi hay.. Bhonda sa mazaq. May nay koi jawab na diya. Phir jaisay us ki aadat ban chukki thi woh boltay ja rahi thi boltay ja rahi thi. Is say pehlay kay mujh  say kuch ghalat ho jata may ghussay may dastarkhwan say utha aur ghar kay bahar chala gaya. Car may ja kar lait gaya aur intezar karnay laga kay yeh so jaigi to ghar jaonga. Phir aisa hi kia.. Woh haleema ko solanay kamray may gayee hui thi jab may wapas aaya aur bistar per ja kar lait gaya. Bilkul acha nahi lag raha tha. Zehn per bahut bojh tha.. Yeh kiyoun meray baaray may aisa soch rahi hay.. Agar mainay bewafai karni hoti to kia is ko itnay door say biyah kar lata…. So tarah ki cheezain dimagh may aain… sona chahta tha per so nahi paa raha tha. Phir neend aa gayee. Aahista aahista yeh routine ban gayee kay may masjid say aata , to table per khana rakha hota. Kulthum haleema kay saath us kay kamray may hoti. May khana khata aur ja kar so jaata. Subah uthta to kulthum aur haleema apnay kamray may so rahay hotay. Mera subah nashtay ka mood waisay bhi na hota bus tayyar ho kar office chala jaata. 


Mujhay is sab may bahut kuch missing lag raha tha lekin may koi nai larai nahi karna chahta tha. Kulthum ko indirectly kaha kay kai dafa us say baat karnay ko dil karta hay to kuch waqt to mujhay diya karay per phir woh sunana shroo ho jati kay maan banNa kitna mushkil hay… tumhay nahi pata raaton ko uthna parhta hay.. May phir chup ho jata. 

Ek raat mujhay kaam say dair ho gayee, hasb-e-mamool may ghar poncha khana khaya aur layt gaya. Aglay roz muri subah ek bahut zuroori meeting thi. Investors aa rahay thay.. Unhi kay liye presentation tayyar kartay kartay mujhay dair ho gayee. Thori dayr baad haleema nay rona shroo kar diya aur chup karnay ka naam hi na leti thi. Kulthum chup kara rahi thi per woh chup nahi ho rahi thi… mainay kaha is ko doosray kamray may lay jao meri subah meeting hay. Us nay aagay say forun cheekh kar jawab day diya kay khud lay jao. May  haleema ko uthanay laga to zor say haleema ko meray haathon say lay gaee. Mujh say bardasht na hua to ghussay may moon say buray alfaz nikal gaey. Phir may living room may ja kar so gaya. Neend waghaira sab urh chuki thi par kisi tarah force kar kay apnay aap ko sulaya. Baqia zindagi is waqia ka taana sunNa para. Kulthum ki selective memory ki daad deni paray gi.. Jab bhi woh koi purana waqiah sunati us may meri har ghalat cheez us ko yaad hoti… lekin apni har cheez hazf kar jati. 

May aksar sochta tha kay kahan woh shroo wali kulthum aur kahan yeh baat baat per jhagra karnay wali kulthum… insaan shayad waqt kay saath badal jaata hay ya shayad may hi us ko badal raha tha.