Tuesday, January 26, 2021

Kon hay tu - Part 7

 Abhi is waqe ko kuch hi din guzray hongay kay aik raat jab ghanton kulthum say baatain kar kay may soya hi tha kay thori day baad phone ki ghanti baji. Phone uthaya to abu thay… bahut udas lehjay may bolay .. Nasir Khan tumhari ammi chali gayee hay… 

Mujhay to kuch samajh na aaya kay abu kia keh rahay hain… yeh kaisa imtehan hay… Ammi kaisay chali gayeen… abhi 2 din pehlay to baat hui thi. Kaisay chali gayeen? Chota bhai Faisal saath tha, phone us ko day kar may kamray may chala gaya…. Bahut ansoo niklay per ek awaz nahi nikli. May roonga ka to bhai ko kon sambhala deyga… Ammi nay kaha tha chotay bhai kay aagay kabhi mat rona. Woh tumhay apna hero gardanta hay...us ko kamzor hotay huay kabhi na dikhana. Aur may nahi roya us kay saamnay. Gul ko bataya, woh bhi ronay lag gaya. Hum teenon canada may thay, Gul hamaray paas chutiyon may aaya hua tha… aur Ammi kay inteqal kay waqt hum teenon ikathay thay. 


Jaib may itnay paisay na thay kay pakistan ja kar ammi ka janaza attend kar sakta… midterm start honay ko thay… bar bar khayal aa raha tha kay agar woh phone cards per paisay zaya na kiye hotay to abhi ammi ko ja kar dekhta… lipat jata… Rangeen duniya achanak kali ho gayee. 


Ammi ki wasiyyat kay mutabiq un ko meray dada jan kay pehlu may bhakkar may dafan kia gaya. Abu ka to jaisay dil hi toot gaya tha. Koi nahi tha un kay paas un ka khayal rakhnay ko. Phone per har waqt baat ho nahi sakti thi… chat abu say ho nahi pati thi.. Bahut betabi walay din thay. Abu ko email bhaijta to jawab aatay aatay bhi din lag jaatay. 


Kulthum ko bataya to woh bhi ronay lagi, aur rona band nahi karti thi… mujh say ziyada shayad us ko dukh ho raha tha kiyounkeh akhri phone may ammi nay us say kapron ka naap liya tha aur us say angoothi ka size liya tha. Per mujhay kulthum say ziyada abu ki fikar khai jaa rahi thi,.. Hamari ek mazoor phuppo bhi hamaray saath rehti theen… abu say to chai ka cup nahi banta tha.. Phuppo ka khayal kaisay rakhain gay.. Phone per phuppo say baad karta to woh ammi ko yaad kar kar kay roti… duain deti… kehti thi choti si bachi thi tumhari ammi jab say us ko pala hay… ankhon kay samnay bari hui, bhai say shadi hui to bhi ghar may bachi ki tarah thi… saat bahuon may sab say choti bahu thi na ammi ghar ki… sab bahut piyar kartay thay ammi say. 


Ab phuppo nay is umar may mazoori kay saath Abu ki take care shroo ki… Allah ko pukartay aakhon say ansoo nikal aatay thay… kehta tha ya allah jis kaam kay liye ammi nay bheja tha woh khatm ho to may jaoon wapas abu ka phuppo ka khayal rakhoon. Lekin ab din bahut lambay thay. Kisi cheez may ji nahi lagta tha. Asad ka phone aaya… woh bhi rota tha… us ko kia tasalli deta, mera to apna bura haal tha. Kulthum say aahista aahista baat kam hoti gayee… us ko kaha kay kaam bahut hay, tuition parhani hain… thak jaata hoon, ab raat ko chat per baithnay ka time nahi milta. Woh bhi betaab ho jati phir jo bachay kuchay paisay us ki jaib may hotay, un say mujhay phone kar kay saaray paisay khatam kar deti. Mujhay us per aur ghussa aa jata kiyounkay mujhay pata hay woh apnay khanay kay paisay bhi phone per laga deti thi… aur phir mujhay yahan say us ko paisay bhaijnay partay… hazar baar kehta meray paas ziyada paisay nahi hain… khayal say bacha bacha kar istemal karna… lekin woh phir wohi karti. Kabhi kabhar may bahut ghussay may aa jata jab woh is tarah paisay kharch karti kiyoun kay us ko samajh kiyoun nahi aati thi… mera paas unlimited paisay to nahi hain…. Phir meray apnay khanay kay paisay khatm hona shroo ho gaye, kiyounkeh woh paisay kulthum ko bhaij deta jo woh mujhay phone karnay per kharch kar deti…. You see .. ghussa na aai to kia aai.


Ek din may nay phone ki taar nikal di. Us din us nay mujhay email kar kar kay tang kar diya… project may masroof tha, nahi dekh saka email us ki… jab dekha to koi 20 emails theen… akhri may likha tha… tumhara intezar kar rahi thi cafe per. Ab paisay khatm ho rahay hain to ghar ja rahi hoon. Nahi us nay nahi sunNa tha.. Terhi pasli toot to jaye seedhi na ho paye…

Mera dil to har cheez say uchaat tha ooper say kulthum nay sir may dum kia hua tha..project aur labs ki wajah say ziyada tuition nahi parha pa raha tha ooper say yeh paisay kharch karti jaati thi… 

Waisay abhi phir soch raha hoon.. To abhi bhi ghussa aa raha hay us per… 


Abhi inhi jhamailon say jaan nahi choot payee thi kay Abu ka phone aaya. Bahut preshan thay. Kehnay lagay Ek baat tumhay batani hay. May tumhay phone na karta lekin mujhay bilkul samajh nahi aa raha kiya karoon. May nay kaha abu kia hua… kehnay lagay kuch log aai thay aur keh rahay thay tumhari ammi nay un say qarza lay rakha tha. Ab ammi ki death ho gayee hay to paisay wapas chahyain. 

Inna Lillah… may nay kaha kitnay paisay hain… kehnay lagay koi 40 lakh… may nay kaha itnay ziyada? Kaisay? Abu nay kaha beta may to khud samajhnay ki koshish kar raha hoon. Phir kehnay lagay tumharay mamoo ka phone aaya tha woh bhi keh raha tha 12 lakh us kay denay hain.. Tumharay khaloo ka phone aaya us say bhi 50 hazar liya huay thay… may nay kaha Abu yeh hamain kiyoun nahi pata tha. Kehnay lagay, betay tumhari aami nay kabhi nahi bataya tha. 

Abu nay kaha beta preshan na hona lekin aur kis say share karta. Abu ki bebasi… it made me so helpless. Abu nay salaam kar kay phone rakh diya. May to woh saari raat sochta raha kay kahan phans gaya hoon. Na bhaiyon say kuch kaha, na kulthum say. Koi nahi samajh sakta tha. Meray paas koi solution nahi tha…. Parhai beech may chorta hoon to woh jis kay liye ammi qarza lay bethi thi woh bhi poora na hota. Parhai khatam kaisay karta… abhi to ek saal baqi tha… us ki fees kahan say aaigi…. Dimagh may khayalat ka gol pahiya tez tez chalta aur may jahan say sochna shroo karta wahin wapas ghuma kar lay aata…

Ammi,... aap nay aisa kiyoun kia… mana kar deti,.. Na aata canada,.. Saath may rehtay kam say kam aap per yeh sab bojh to na hota… is sab nay waqt say pehlay ammi ko boorha kar diya tha… lekin kia faida ab is parhai ka… maan ko to na dikha saka… baap alag preshani may.. Zindagi waqi buri tarah phans chuki thi.