Taqreeban ek saal hum nay woh choti si online shop chalai. Ab hamaray bahut saaray regular customers ban gaey thay. Unhi dinon bazar say drive kartay waqt meri ek dukan per nazar pari jo karaye kay liye khali thi. Us dukan may ek kitchen bhi tha aur aik dining area bhi tha. Us raat may ideas banata raha kay kisi tarah agar yeh dukan mil jaati hay to may grocery store aur restaurant dono ek hi jaga khol sakta hoon. Khana pakana meray bass ki baat nahi thi lekin agar kulthum haami bharti to yeh ho sakta tha. Haalat to yeh thay kay yeh sab may Kulthum aur Haleema kay liye hi to kar raha tha lekin kisi bhi plan ki baat kartay bhi mujhay 10 baar sochna parhta tha kiyounkeh kia reaction aai kia pata.
Kulthum say baat ki, woh hesitant thi. Us ko restaurant ka thora experience tha kiyounkeh us ki Ammi ek chota sa kitchen chalati thi jab Kulthum choti si thi. Kuch din baad may nay phir poocha.. Samjhaya keh agar hum dukan may jaatay hain to hamain exposure ziada milay ga. Ghar ki choti dukan say to hum sirf online kay orders tayyar kar saktay hain. Dukan apni ho gi to har tarah ki traffic ho gi. Bahar haal behad zidd karnay kay baad woh razi ho gaee.
Hum nay dukan ka contract sign kia aur dukan ko set karna shroo kia. Dukan ko apnay mutabiq set karnay may taqreeban 3 haftay lag gaey. Restaurant kay liye staff hire karna tha. Kulthum nay shart rakhi kay sirf aurtain hi kitchen may kaam kareingi. Us waqt us nay haami bhari yahi meray liye bohut tha… may nay kaha kitchen is your territory, do what you have to. Us nay 3 aurton ko hire kiya. Mera ek aur employee tha jo cash per tha. Overall jaisa mainay socha tha us jaisa hi kuch honay ja raha tha. Pehlay hum nay grocery ka kaam shroo kia aur us kay taqreeban 2 maheenay baad restaurant ka. Restaurant ka kaam thora mushkil tha kiyounke health department ki bahut requirements theen. Kulthum ko food safety ka ek course bhi karna para. Jis din hamara restaurant ka pehla din tha… logon ki line door tak lagi khari thi. In may ziyada tar Saudi say aai students thay jin ko sirf is baat ki khushi thi kay koi restaurant khula hay jo Halal khana baich raha hay. Kulthum nay bahut mehnat say khana banaya tha jo 3-4 ghanton may hi khatm ho gaya. Woh din sab kay liye bahut stressful tha kiyounkeh hamain demand ka andaza nahi tha. Raat 12 bajay jab farigh huay to sab thak kar zameen per baithay thay. Haleema saara din dukan may khelti phirti thi...har aanay walay customer ko welcome karti thi. Yeh bhi ek wajah hay kay community ka har banda Haleema ko jaanta hay kiyounkeh unhon nay us ko 2.5 saal ki umar say dekha hay.
Shru kay 4,5 maheenay bahut hi ziada busy thay aur hamari sale bahut achi hui. Sale achi hui to mujhay bhi ehsaas tha kay is paisay ko kaisay achay say reinvest karna hay. Kulthum ka dil tha naya iphone lena hay. May nay kaha thora sabr kar lo woh bhi aa jayega pehlay dukan ki inventory to restock kar loon. Khair iphone nay aana tha woh aa kar raha. May nay socha chalo woh apna itna time kitchen may bhi to laga rahi hay agar ek acha tuhfa maang liya to koi bara issue nahi hay.
Us saal qareebi shehron may bhi hamara naam pohunch chuka tha aur wahan say bhi order aanay lag gaye. Sab say busy time Ramadan may gaya jab logon ki iftari kay baray baray order aatay thay. Is saaray kaam ka sab say manfi pehlu yeh tha kay hum subah 7 bajay kaam kartay aur khatm kartay kartay raat ka 1 baj jaata. Ab is may family time to tha hi nahi. Haleema har waqt dukan may rehti. Saaray employees us ka khayal rakhtay. Kulthum us ko bhi khilati, kitchen bhi handle karti. May grocery side handle karta. Halal meat kay liye ab may haftay may do dafa farm per jata. Us kay ilawa har waqt ki ordering aur stocking.. Kaam aisa tha kay khatm honay ka naam na leta. Jab din khatm hota to bus dil karta ghar jaa kar so jaoon kiyoukeh subah phir 7 bajay wohi routine.
Kuch arsay baad yeh routine hamain thakaanay lagi. Kulthum bhi thaki thaki rehnay lagi, mera haal bhi kuch acha nahi tha. Haftay kay 7 din kaam karna ab mushkil hota ja raha tha. Ab ghar ka waqi may bura haal hota ja raha tha kiyounkeh kisi kay paas time nahi tha ghar per dhiyan deta. Ab hamari laraiyan bhi business say related ho gayee theen.. Woh kisi kay order kay hawalay say hi hoti. Ya agar kitchen walay koi kaam sahi na kartay to may upset ho jata. May agar generally bhi kitchen kay workers ko kuch kehta to Kulthum mujh say larr parti. Ek raat jab hum sab kuch close kar kay baithay thay kulthum nay koi baat chayr di. May bahut thak chuka tha. May nay kaha kay hum yeh subah na baat karein abhi mujh say socha nahi ja raha. Kehnay lagi kay subah nahi abhi solve karo.. Subah tum busy ho jaogay. Mainay kaha acha chalo batao kia baat hay. Us nay baat batani shroo ki to yaqeen karo may baat suntay suntay so gaya. Khuda jaanta hay yeh may nay jaan kar nahi kia tha. May waqi itna thaka hua tha. Kulthum ko bahut ghussa tha is per aur mujhay cheekh kar utha diya. Mujhay ghussa to bahut aaya per chup raha.
Kuch dinon baad service kay doran koi order ghalat bana diya kitchen walon nay. May kitchen may gaya to kulthum khari thi.. Us ko bataya order ghalat hay.. Kehnay lagi dobara banwati hoon. Us nay koi baat ki to may nay kaha abhi ruko pehlay kuch customers kam ho jain to aata hoon. Boli.. kay mujhay abhi jawab chahye… mainay kaha baat karnay ka bhi koi tareeqa hota hay… aisay bologi to koi jawab nahi milay ga. Woh aahista aahista awaz oonchi karti ja rahi thi.. May nay haath say ishara kia kay chup karo..employees hain kicthen may.. Bahar customers hain… us nay kaha… i dont care.. Let them listen to who you really are...mujh say bardasht na hua aur us ko mainay ek thappar laga diya. Woh yeh expect nahi kar rahi thi. Aur kisi nay nahi dekha tha. May forun kitchen say bahar nikal aaya aur cash per customers ko handle karnay lag gaya. Woh peechay ro to rahi thi per niqab pehnti thi to kisi ko ziyada notice na hua. Jab customers kam huay to may apnay back office (jo shop kay pichlay hissay may banaya hua tha) wahan chala gaya. Yeh mainay kia kar diya tha… Har us amal jis ki dil may nafi thi aaj may nay kia … ghussa, sakht alfaz aur ab to haath bhi utha chuka tha… Bahut nidamat ho rahi thi,... phir khud ko hi samjhata… chup nahi kar sakti thi woh … thori dayr ko.. Chup kar jaati…. Yeh aghaz tha us kaalay daur ka jis ki wajah say may shayad aaj is haal may hoon. Us ki agar ghalti thi to meri shayad bari ghalti thi. Zaban say nikla lafz aur kaman say nikla teer wapas nahi ho saktay…. Dil ko pata tha yeh… samajhta tha yeh sab lekin phir bhi jab waqt aaya to shaitan nay ghalba pa liya. Kiyoun bardasht nahi kia.. Har dafa kar jaata tha ab bhi kar jaata. May baar baar soch raha tha kay kia socha ho ga us nay… hazaroon meel door la kar is liye yahan rakha tha kay us ko thappar maroon. Phir us kay paas gaya, aur us ko kamray may laya. Sorry kia aur kaha kay kulthum jab kabhi may tumhain khamosh honay kay liye kahoon … jab tum dekho may ghussay may hoon… mujhay kuch lamhon kay liye akayla chor diya karo,.... Agay say jawab na detay raha karo… lekin is sab kay bawajood mainay sahi nahi kiya. Kulthum nay kuch nahi kaha. Shayad muaf bhi nahi kia lekin us kay ansoo bus girtay jaatay. Woh raat mujh per bahut bhari guzri. Sochtay sochtay saari raat guzar di. Kia ab woh mujhay kabhi bhi muaf karay gi.
Kuch dinon baad phir kuch normal sa honay laga aur hum phir dukan kay kamon may busy honay lagay. May aksar sochta kay kia woh bhool gayee hai.. May us ko yaad nahi karana chahta tha. Lekin kaafi arsay tak waisa jhagrah hamaray darmiyan na hua. Ab jab bhi koi argument hota may jaga chor kar chala jaata. Mujhse yeh dobara na jheelna paiga.
English may kehtay hain na…She knew how to press the right buttons..matlab us ko agar apna maqsad chahye hota to us ko pata tha us ka raasta kia hoga… Ghar per ek dafa hamara phir jhagra hua. Mujhay yaad nahi exact wajah kia thi but shop ko lay kar hi kuch tha… hamari to zindagi ab bus shop hi thi…. Wohi us ki purani harkat… may khana shroo karnay laga aur us nay bolna shroo kia.. May nay kaha khana to kha lenay do, hum yeh baat baad may bhi discuss kar saktay hain. Kehnay lagi theek hay may kamray may ja rahi hoon, khud hi kha lo. May nay kaha 2 min saath baith jaogi to kuch ho nahi jayega. Kehnay lagi mujhay aur bhi bahut kaam hain. Mujhay us ka meri taraf yeh rawayya acha nahi lagta tha… may samajhta tha keh shohar honay kay naatay i deserved some respect. Mujhay ghussa aa gaya kay sirf ek waqt ka khana detay maut aati hay..us ko kaha kay glass may pani daal do (yeh may khud bhi daal sakta tha lekin us waqt bus may egoistic ho gaya tha keh kisi tarah to yeh meray saath baithay). Us nay glass may pani daala aur zor say table per mara. Mujhay bahut ghussa aaya aur haath ghumaya. Haath us ko nahi laga lekin jo hua woh bahut bura hua. Meray haath ki ek ungli us kay samnay walay daant ko lagi aur woh chip ho gaya. Mujhay usi waqt rona aa gaya.. Woh bhi zor say ronay lagi.. Aur may bhi ro raha tha..baar baar us kay daant ki taraf dekhta aur haath laga kar dekhta kay kahin aur to koi zakham nahi aaya. Allah jaanta hay yeh may nay qasdan nahi kia tha...Haleema bhi sab kuch dekh rahi thi. Haleema ko aaj bhi woh waqia yaad hay. Main aaj abhi apni us harkat ko regret karta hoon. Main nay usi waqt apnay dentist ko phone kia aur kaha kay emergency hay. I need you to check her up. Dentist nay kaha kay usay lay aao. Lay kar gaya to unhon nay us ka xray kiya aur kaha keh kuch damage nahi hua hay aur yeh chip woh abhi theek kar daingay. Woh daant ka chip to theek ho gaya aur khuda ka shukr hay koi serious damage bhi nahi hua lekin woh jo us kay dil per chip laga ho ga woh? Abhi to pichli maafi bhi nahi mili thi aur tu nay yeh harkat kaisay kar di… may bar bar khud say yahi sawal kar raha tha. Yeh mujhay kia hota ja raha tha… kiyoun meri bardasht khatm hoti ja rahi thi…. Haleema ko kia bataon ga kay yeh mainay kia kiya? Apnay aap say nafrat si honay lagi thi. Mujhay pata tha kay kulthum in sab cheezon ko kabhi bhi nahi bhoolay gi.. Aur kiyoun bhoolay.. Jab us nay mujh say shadi ki thi to in sab ka contract to nahi kia tha na….mujhay to us ko protect karna tha per kahan zabaan walay jhagron say baat shroo hui aur ab baat haatha pai tak aa ponchi thi. Mujhay ander hi ander koi cheez khai ja rahi thi. Main us ko kisi tarah koi badla dena chahta tha… Us kay dil ko theek nahi kar sakta tha lekin kuch karna chahta tha. Is waqiah kay taqreeban ek maheenay baad hamain khushkhabri mili kay woh pregnant hay. Mujhay khushi to thee lekin fikr bhi bahut thi. May us ko shop per kaam nahi karnay dena chahta tha taakay koi aur wajah na banay hamaray jhagray ki. Us ko kaha key tum ghar hi may raha karo aur apni sehat ka khayal rakho. Yeh arrangement ziada behtar tha… mujhay shop per masla to tha is say lekin it was worth it. Us kay kuch dinon baad may nay us ko surprise gift yeh diya kay Mainay us ka aur haleema ka indonesia ka ticket book karaya. Us ko kaha tum ghar ammi abu behnon ko mil aao.. Maheena ek reh aao. Us ki flight ka route Holland kay through rakha taakay wahan apni bari behn say bhi mil sakay. Mainay jo us kay saath kia woh to nahi badal sakta tha lekin shayad yeh us kay zakham thoray bahut bhar sakay.. Yahi soch kar yeh gift diya. Saath kuch paisay diye aur kaha kay agar aur paisay chahye hon to batana may bhaij doonga.