Tuesday, February 2, 2021

Kon hay tu - Part 19

 Taqreeban 5,6 maheeny guzray hongay kay meray ek dost ka mujhay phone aaya. Un ka naam Sohail Khan tha. Sohail bhai woh pehlay pakistani thay jin say meri Canada may mulaqat hui thi. University kay pehlay din say lay kar aaj tak hamara aapas may rishta bilkul bhaiyon jaisa hay. Woh mujh say umar may baray hain per may apnay aap ko un say bahut close samajhta hoon. Kahani kay shroo may bataya hay kay ek dafa jab may apnay final year kay project may masroof tha to mainay kulthum say raabita munqata kia tha taakay may kaam per dhiyan day sakoon. Tab Kulthum nay Sohail bhai ko phone kia tha meray baaray may poochnay kay liye. Sohail bhai nay samjhaya kay us ka final year chal raha hay.. Kisi kaam may masroof ho gaya ho ga. Jab baat hogi to may us ko bata doonga kay tumhara phone aaya tha. Kulthum nay un ko bazidd ho kar kaha kay woh abhi phone karain. Mera to phone hi band tha so baat kaisay hoti Sohail bhai say. Baad may Sohail bhai nay mujhsay yeh baat discuss ki. Un kay mutabiq yeh achi traits nahi hain kay woh tumhain kaam karnay ki space nahi day rahi. Itna obsessive hona achi cheez nahi hay. Sohail bhai nay to mujhay usi din kaha kay may ghalti karnay ja raha hoon. May nay un ki baat suni ansuni kar di thi.


Ab jab Sohail bhai ka phone aaya to kehnay lagay may New Brunswick aa raha hoon. 2 haftay rahoonga… kaheen outing ka plan plan banao. Begum bachon ko bhi saath lay lena. Kisi long trip per chaltay hain, tum log bhi fresh ho jaogay. Mujh say na nahi hui. Haami bhar li. Lekin reh reh kar mujhay Faisal ka trip yaad aa raha tha. Woh to bechara bhai ko milnay aaya to us ko bhi nahi bakhsha tha. Sohail bhai kay agay sharmindagi ho gaee to kaisay face karoonga. Sohail bhai kay bahut ihsaan hain mujh per. Unhon may university say lay kar aaj tak meri bahut help ki hay. Woh bhi pindi kay rehnay walay hain aur un ki ammi aur behn ki meri ammi say kai dafa mulaqat hui thi. Is liye bhi main un kay bahut qareeb hoon. 


Kulthum ko bataya to us ka pehla jawab tha. Mujhay to kaheen nahi lay kar gaey is tarah trip per.. Dost nay kaha hay to forun tayyar ho gaey ho. Bus biwi ki to yahi value hay tumharay samnay. Mujhay pata tha woh kabhi is cheez ko poisitively nahi lay gi. Pata nahi sab kuch khushi khushi kiyoun nahi accept karti thi woh. Khair muamla sirf trip ka hi to nahi tha… Sohail bhai ko ghar per thehrana bhi tha… ab yeh sab kuch Kulthum ki cooperation kay baghair kaisay mumkin tha. Kulthum ko sari baat batai… kuch na boli… lekin chehray per nagawari bilkul ayyan thi. 


Sohail bhai aai to un ko ghar per hi thehraya. Un ko ashsas tha kay dukan ka kaam hay aur dono hi dukan per kaam kartay hain to unhon nay kaha yar khana waghaira tumharay restaurant per hi khaingay. Hum nay ek week ki outing ka program banaya. Yeh meray liye itna asaan nahi tha kiyounkay workers kay ooper shop ek hafta chor kar jaana parna tha. Khair hum log ek haftay drive kar kay hi Cape Breton, jo kay Canada mainland ka eastern coast hay, wahan gaey. Outing to achi thi, mahol bhi badla, scenery bhi bahut achi thi.. Lekin mujhay pata tha is sab may kulthum khush nahi thi… woh baar baar mujhay yaad dilati kay agar us nay yahan akalay aanay kay liye kaha hota to may us ko kabhi na lata.. Yani Sohail bhai ki value meri nazar may us say ziyada hay. Us trip per may nay us kay her argument ko ignore kiya. May kisi naye dramay ka hissa nahi banNa chahta tha. Khayriat say mehman wapis chalay jain… bus usi ka intezar kar raha tha. Kia may pehlay Kulthum ko akaylay ghumanay nahi lay gaya tha….kahan kahan nahi lay gaya.. Lekin us ko bhi to koi moqa chahye..khair Allah Allah kar kay Sohail bhai achi yaadain liye wapas chalay gaye. 


Us summer may hamaray doosray day trips bhi lagay kai jaghon per. Un sab may may kulthum aur bachay hi thay lekin woh abhi Haleema ko Cape Breton ka taana deti hay kay may us ko wahan apnay dost kay kehnay per lay ker gaya warna mera koi dil nahi tha Kulthum ko wahan lejanay ka. 


Business ab kaafi slow hota ja raha tha. Overall hi sab business ka yahi haal tha. Sab say bara masla tab hua jab Saudi govt nay Canadian govt kay saath student exchange ka contract cancel kar diya aur apnay sab students wapas bula liye. Is kay asar meray business per bhi bahut hua. Mujhay apnay employees kam karnay paray. Kulthum aur meray hours barh gaye kiyounkay doosron ko to tankha deni parhti hay aur khud hum tankha apnay business say nahi letay thay. Kai din to humain order kay darmiyaan ek ek ghantay ka bhi wait karna par jata tha. May to cash per hi khara hota tha aur sochta rehta tha kay business ko kaisay improve kia jaye. Kulthum back office may hoti. Meray dimagh may kia chal raha hay… us say share to karna chahta tha per arguments ki himmat nahi thi so khud hi us ko solve karnay ki koshish karta. Meat waghaira kay liye ab bhi farm per jaata tha zibah karnay kay liye.


Phir mujhay CRA say ek phone aaya jo yahan ki FBR hay. Us officer nay mujhay kaha kay aap kay account ka audit kia hay aur aap hamain 18000 dollars owe kartay hain. Main nay kaha yeh kaisay ho sakta hay? Us nay kaha may aapko audit report bhaij raha hoon. Us nay mujhay ek haftay ki muhlat do payment karnay ki. Bahut discuss kia keh yeh possible nahi hay meray liye… bahut bari raqm hay. Kehnay laga pehlay documents receive kar lo… go through them and then call me. Documents mail may aai to may lay kar forum accountant ki taraf chala gaya. Accountant say poocha kay yeh kaya hay. Us nay sab dekha to kaha kay un ko ghalti lagi hay. Us nay CRA ko call ki aur hamari side ki story batai. Unhon nay kaha kay hamain aap apnay accounts ki detail jo aap keh rahay hain woh bhaijain. Aap is decision ki appeal may ja saktay hain. Accountant nay kaha keh appeal to hum karaingay lekin yeh ek haftay wali muhlat to thori relax karain. CRA officer nay kaha kay woh meray ikhtiar may nahi hay.. Agar aap appeal submit kar dain, then I can push it to my boss and hopefully we can sort it out. Yeh may kis museebat may phans gaya tha. Accountant nay mujhay kaha kay woh us ki appeal ka process start karta hay aur in the meantime I should be prepared for anything because if we dont pay that money and our appeal is not in before the deadline, then they can freeze the business bank account. That will be a problem for your business. Saath tasalli bhi di kay eventually yeh sort out to ho jayega lekin waqti taur per problem ho sakti hay. 


Phir wohi hua.. Accountant to documents tayyar kartay kartay haftay say ziyada ka time lagg gaya. CRA nay business kay bank accounts per hold laga diya. Hold ka matlb tha koi deposit nahi kar sakta tha… kisi ki payments nahi kar sakta tha. Bahut hi stressful time tha. Kulthum yeh sab dekh rahi thi… us ko bataya bhi kay kia hua hay… lekin ab bhi moqa bay moqa mujh say ulajhti rehti thi. Raat ko jab sab so jaatay to may dair tak baitha us bank walay maslay ki guthi suljhata rehta. Yeh woh waqt tha kay koi mujh say poochta kay kaisay masla hal ho ga… koi salaah karta … koi raai deta .. kiyounkeh mera apna dimagh to mauf ho chukka tha. I needed somebody to brainstorm for me. Phir may Faisal ko phone karta… us kay opinion layta shayad us kay paas koi solution ho.  Afsos kay sab log mujhay us museebat say nikalnay kay liye apnay apnay ghang say mashwaray detay lekin meri apni biwi nay ek baar nahi poocha kay kiyoun raat ko neend nahi aati, koi preshani hay..kiyoun preshan ho. Itna akayla to mainay zindagi may kabhi mehsoos nahi kia tha. Yeh masla koi ek maheenay tak raha jis may accountant nay CRA kay saath correspondence kar kay problem solve karwa diya. Maheenay baad bank accounts per say hold uth gaya. Lekin us maheenay may jo cheez mujhay sab say ziyada samajh aai woh yeh thi kay may ab bhi akayla hi hoon aur mujhay jo karna hay woh khud hi karna hay. Jis kay liye kar raha hoon us ko kuch ziyada parwah nahi hay. 


Us waqiah kay baad say meray saaray faislay pragmatic thay. Ab may yeh na sochta kay kulthum kia sochay gi, kia woh agree karay gi ya nahi. Jo sahih samajh aata tha… jo qareebi logon say mashwara karta tha bus faisala bhi usi tarah kar deta tha. Kulthum nay bhi kabhi nahi poocha kay may nay aisa kiyoun kia ya waisa kiyoun kia. Shayad mian biwi kay is rishtay may yeh tanazalli ki akhri hadain theen. May is ko sanwarna chahta tha lekin phir us say arguments karnay kay liye bahut energy chahye thi. Business ka hi itna stress tha kay yeh discussions karnay ki himmat nahi thi. Dil may yeh soch kar may khamosh rehta kay halaat behtri ki taraf aaingay aur jab sab theek ho jayega to yeh din shayad hum kabhi yaad na karein gay. 


Itni tareeki may Allah nay phir ek khushkhabri di. Kulthum phir pregnant thi. Saifullah aur Abdullah may taqreeban 2 saal ka farq tha aur abdullah aur nai mehman may 1 saal. May chahta tha meray 2 betay aur 2 betiyan hon. Is liye family complete karna chahta tha. Bahut dil tha kay jab yeh sab thoray thoray baray hongay to bahut time in kay saath guzaroonga. Is liye aakhri teen bachon may hum nay waqfa kum rakha tha. December kay akhir may Allah nay hamain ek aur beta diya. Us ka naam mainay Ubaidullah rakha - yaani chota Abdullah. Sab preshaniyon may Ubaidullah kay aanay kay baad bahut ronaq barh gayee. Sab nai baby kay saath khel kar bahut khush hotay. Bhaiyon may jealousy bilkul nahi thi. Behn ko to mashallah khushi ki intehaa thi. Teen teen bhai… saara din un kay sath khelti , un say batain karti. 

Ubaidullah kay anay kay baad Kulthum ki saari masroofiat bachon kay saath ho gayeen. Mainay us ko ghar per hi rehnay kay liye kaha. Kitchen to waisay hi slow chal raha tha. Grocery side bhi slow hi thi. Mainay kaha may sab handle kar loonga. Saara din jab kitchen aur shop dono handle kar kay ghar jaata to us waqt jism may bilkul jaan na hoti. Jaisay hi ghar ghusta saaray bachay bhaag kay aatay aur meray saath lipat jaatay. Phir khoob un kay saath khelta. Woh meri saari thakan utaar detay.  Phir may jaldi so jata kiyounkeh subah phir jaldi jaana hota tha. 


Ghar per ab bhi Linda ka aana jaana tha. Woh ab bhi bachon kay saath activities karti thi aur monthly reports bana kar deti thi. Mainay bhi us kay baaray may kuch nahi kaha chalo isi bahanay kulthum ka bhi dil laga hua hay. Wanda ab bhi haleema ko school lay kar jati aur wapas lati. I think this new routine was working better. Kulthum ko shayad is may ziyada araam mil raha tha. 


Phir mujhay Faisal ka ek din phone aaya kay us ko Mufti ki sanad mil gayee hay aur dastaarbandi ho gayee hay. Us ka irada wapas canada aanay ka tha. Woh aur mariam Canada wapas aai to dono hamain milnay aai. Is dafa un ko may nay wahan ek room rent kar diya. Roz faisal shop per meray saath baithta aur mujhay apnay ideas deta kay kia kiya jaye business ko behtar karnay kay liye. Taqreeban 4 maheenay hum nay ikathay kaam kiya lekin business may koi khatir khaah izafa na hua. Shehr may aur baray baray supermarkets khul chukay thay aur un say muqabla karna asaan nahi tha. Phir mainay faisal ko kaha kay business ka accounts daikh kar decision letay hain kay is ko continue karnay ka faida hay ya nahi. Aakhir may hum isi nateejay per ponchay kay is business ko ab band kar dena chahye. Achanak band karnay ka matlab tha kay woh suppliers jo hamain samaan credit per detay thay unkay paisay wapas karnay paraingay jo kay taqreeban 22000 kay qareeb thay. Yahi ek wajah thi jo business ko achanak band karnay say mujhay rok rahi thi. Yeh baat main kulthum ko bhi batana chahta tha lekin us ko to shayad ab koi interest nahi tha. Bahut socha kia karoon phir yeh idea aaya keh inventory baich kar jitna payoff kar saka kardoonga aur baqiyon say muhlat loonga aur aahista aahista lota doonga. Mujhay kisi ka paisa rakhna bilkul manzoor na tha. 

Faisal aur mariam Montreal chalay gaey thay aur ab mujhay yeh decision lena tha kay business ka kia karna hay. Akhirkaar kulthum ko bhi bataya kay yeh decision liya hay. Kulthum nay bas itna kaha kay shop phir band kar rahay ho.. Maynay kaha haan aur koi raasta nazar nahi aata. Kehnay lagi… acha. 8 saal shop chalanay kay baad us business ko khairbaad keh diya. Bahut yadain wabasta theek us jaga say…. Achi bhi aur buri bhi. Haleema to bari hi waha hui thi. Ab bhi kai dafa zikr aa jata hay jab baat karti hay shop kay baray main. Sachi baat to yeh hay woh saara project mujhay tab to acha lagta tha jab kulthum aur mainay ikathay kaam karnay ka socha tha lekin jis tarah kulthum ka interest khatm hua, mera bhi dil uchat sa ho gaya tha. Akhri din jab shop per taala lagaya to kulthum ko kaha dekh lo phir yeh jaga yaad aayegi… us nay agay say kuch nahi kaha aur may nay darwaza lock kar diya.