Yeh file thi us case ki jo kulthum nay mujh per kiya tha. Maqsad us ka mujh say separation tha aur bachon ki custody lekin us maqsad tak ponchnay kay liye us case may har harba istimal kia gaya tha.
May jaisay jaisay parhta jaata meray aansoo behtay jaatay… yeh thi woh aurat jis kay liye may saat sumandar paar gaya, mushkulaat jheeleen, aur ab yeh mujhay sar-e-bazaar nanga karnay kay darpay thi. Us may likha tha keh mainay hamesha us ko abuse kia hay… jis din say woh canada aai aur us din tak jab tak us nay mera ghar chora…. Yeh likha tha kay may hamesha bachon per ghussa karta aur haleema ko mara bhi tha… yeh haleema ko maarnay wala kahan say jhoot daal diya.. Woh meri pari meri shahzadi.. Us ko kaisay maar sakta hoon.. Us may likha tha may us say shop kay saaray kaam karwata tha aur us ko us ka muawza nahi deta tha...yeh bhi likha tha kay us ko jismani tashaddud karta tha jis say us ka daant bhi toot gaya tha… yeh bhi likha tha kay tashaddud ki wajah say abdullah ki paidaish kay waqt us ki pregnancy ki complications ho gayeen theen….yeh bhi likha tha kay woh mujh say itna darr gaee thi kay us nay itnay saal kisi say madad nahi maangi kiyounke woh yeh samajhti thi kay may us ko jaan say maar doonga…. Yeh bhi likha tha kay may us ko jaib kharch nahi deta tha,.... Bachon kay khanay kay paisay nahi deta tha… us ko bachon kay doodh kay liye mujh say bheek mangna parti thi…
Yeh bhi likha tha kay ghar chornay ka plan us nay shop band honay say 4 mahinay pehlay hi bana liya tha…. Yeh kaisay possible tha…. Shop band honay kay baad to kai dafa hum intimate bhi huay thay… Battlefod jaanay say ek do din pehlay tak… akhri raat tak… mujhay khud say ghin aa rahi thi… us kay dimagh may plan tha aur may us ko apna piyar baant raha tha… Us may yeh bhi likha tha,... is plan ko kamyaab karnay may us ki muawan Linda thi… Jab ghar chor kar shelter gaye to Wanda apni taxi may sab ko lay kar gayee...saari tasweer mukammal ho chuki thi...
Is sab ki base per woh court say appeal karti hay kay bachay us kay hiwalay kiye jayen kiyounke may ek saffak aur irresponsible baap hoon.
Yeh parh kar to meri rooh hi kaamp gayee… kaisay kaisay ilzam laga diye thay. Meri daari topi dekh kar kisi ko bhi yeh sab yaqeen karnay may koi dushwari to honi nahi thi. Is case ka jawab mujhay daakhil karwana tha warna case ka decision meray khilaf bhi aa sakta tha. Mujh say jawab likha nahi jaa raha tha.. Jab parhta to mujhay abu ki baat yaad aa jati jo kehtay thay.. Pakistan may shadi karo kiyoun bahar kartay ho… mujhay apnay alfaz yaad aatay… us ko deen ki wajah say chuna. Kahan hay woh deen aaj.. Kaisay adalat may mujh per yeh jhootay ilzaam laga diye… nafrat ho rahi thi us say. May nay hamari community kay ek buzurg jin ka naam Uncle Abid hay, ko contact kiya… woh meray ghar aai aur unhon nay us case ka jawab dakhil karaanay kay liye help ki. Woh bhi abu ki tarah bahut himmat bandhaatay. Jab kulthum aai thi canada, to woh hamain milnay aai thay.. Us ko apni beti ki tarah samajhtay thay…
Us kay jawab ka ek hissa bachon ki custody say mutalliq tha. Uncle nay samjhaya kay sab bachon ki custody woh tumhain nahi dengay… haleema aur saifullah shayad shared custody may aa jain lekin chotay do to adalat maan hi kay hawalay karaygi. May bachon ko alag nahi karna chahta tha. Phir ubaidullah to bahut chota tha… may chahta bhi to us ki take care nahi kar sakta tha. Mainay custody challenge karnay ka irada chor diya aur bachay kulthum ko day diye. Yahi socha kam say kam woh ikathay to rahaingay.
Uncle kehnay lagay may kal us say ja kar milta hoon… samjhata hoon..Aglay din woh us ko milnay gaey per us nay milnay say inkaar kar diya… mainay phone kar kay poocha uncle aap milay thay us say… kehnay lagay.. Nahi beta nahi mila… mujhay bahut afsos hay kay us nay milnay say inkaar kar diya… mujhay pata hay tum chahtay ho kay us say sulah ho jaye lekin jitna mera tajruba hay yeh sulah mushkil lagti hay. May nay un say kaha ji acha aur khuda hafiz kar kay phone rakh diya.
Phir kulthum ka email faisal ko aaya kay agar woh kisi ko allow karay gi mediation kay liye to woh maulana iqbal hain. Maulana sahib ek dafa hamaray ghar thehray thay… woh Alberta province may rehtay thay aur hamaray haan ek masjid kay program kay silsilay may aai thay. Mujhay thori umeed hui kay shayad ab masla hall ho jaye (dekho mujh buddhu ko…. Itna sab kuch woh meray saath kar gayee aur may ab bhi soch raha hoon kay yeh masla hall ho jaye)...Maulana iqbal ko email likhi aur un ko sab kuch bataya.. Unhon may mujhay phone kia aur kaha kay un say jo ho saka woh kareingay… un ki kulthum say baat hui aur phir unhon nay wapas mujhay phone kia kay there is nothing to save in the marriage. Un kay alfaz bahut tursh aur tayz thay… kehnay lagay woh tum say talaq chahti hay aur is kay ilawa koi aur shart maanNay ko tayyar nahi hay.. Kehti hay tum agar us ko talaq do to woh tumhain bachon say mulaqat allow kar sakti hay. Phir mujhay kehnay lagay… dekho beta hum jo ghalat zindagi may kartay hain hamain us ka phal kabhi kabhar isi duniya may mil jaata hay… lekin tum is ko aisay socho kay is may Allah nay tumaharay liye behtari rakhi hay. Yeh museebat yahan jheel lo gay to aglay jahan ki manzilain asaan ho jayengi..
Mujhay maulana sahib per bhi bahut ghussa aa raha tha… is saaray process may mediation kahan thee… he was supposed to fix this problem… koi demands poochtay us say.. Koi negotiation kartay… yeh kia one way mediation thi… bus may nay kaha mujhay talaq nahi deni. Pata nahi meray dil may yeh atak gayee thi kay mainay kuch aisa bura nahi kia kay may talaaq doon… dimagh samajhta tha kay us ko apnay khontay say baandh kar to nahi rakh sakta uski marzi kay baghair per dil ki apni hi logic thi. Bus tahiyya kar liya nahi doonga talaq.
Court ki pehli hearing aai. Bahut sharm aa rahi thi.. Wahan pata nahi kis kis qamash kay banday court may baithay huay thay aur kulthum bibi nay beech chorahay la khara kia tha. Saari zindagi court katchehri say bhadnay walay ko beech may la phansaya. Judge nay us ka case parha, mera case parha, phir custody per faisla diya kay woh kulthum ko milay gi. Mujh per court order lagaya kay main un kay ghar kay qareeb nahi ja sakta aur agar gaya to arrest ho sakta hoon. May bus wahan baith kar saaray faisaly sunta raha. Woh bhi baithi thi apnay wakeel kay saath. Mera to koi wakeel nahi tha. Us ko saari facilities provide ki gayee theen...aurat thi na. May nay us waqt dil may khuda ko pukara... Ya Allah tu dekh raha hay na is zameen kay Na khudaon nay aaj faisala kar kay mujhay meray bachon say door kar diya… kia tu is zulm ko aisay hi honay dayga.. Kia mujhay is ka badla nahi milay ga?
Court nay 2 haftay baad ki aid aur date rakhi.
Ghar aaya to dil bahut bojhal tha… May nay malik makan ko contact kia kay may ab itnay baray ghar may nahi reh sakta .. khali karna chahta hoon. Uncle Saeed ko bulaya… jo jo cheezain samajh aati theek sab pack kar deen .. jo wahan say nahi layja sakta tha woh Kijiji per laga kar baich deen. Kulthum ka shadi ka zewar, shaadi ka jora, anguthi… sab ghar may hi paray thay.. Woh kuch saath nahi lay kar gayee thi… jab dil may meray liye nafrat bhar kar lay gayee to in sab ki jaga kahaan banti hay… Mainay jo storage karai per lay rakhi thi waheen sab samaan rakh diya… aik 1 bedroom kay chotay say apartment may shift ho gaya…
Agli court hearingp per judge nay visitation hours set kiye… Har Sunday… 11 bajay say 5 bajay… yeh insaaf tha is qanoon ka…yeh insaaf tha us maan ka apnay bachon kay baap kay liye. Jin bachon say meri nazrain saara din na hatTi theen.. Un say ab aisay miloonga jaisay koi qaidi ko jail may milnay aata hay… Milna ka tareeqa bhi bataya gaya… may direct bachay pick nahi kar sakta… ek doosra aadmi (jo meray case may Uncle Saeed tha) jaiga aur bachay lay ga aur phir woh wapas bhi kar kay aaiga.. Uncle saeed us waqt tak meray saath rahay ga jab tak bachay meray paas hain...yes supervised visitation thi...May Uncle Saeed kay saath jaata aur kulthum kay ghar say door utar kar khara ho jaata… phir woh bachon ko lay kar aata aur mujhay pick kar leta. Phir 5 bajay isi tarah hum bachon ko wapas lay jaatay. Aisa kuch 4 maheenay chalta raha.
Court ki hearing hui...may nay request ki kay mujhay ziyada time chahye aur non-supervised. Judge nay non-supervised accept kar liya aur time barha kar 6 bajay kar diya. Abhi tak official time yahi hay lekin aagay kuch waqiaat hotay hain kay kulthum bachon ko ziyada time kay liye allow kar deti hay.
Poora saal taqreeban isi schedule per visitations chalti raheen. Kulthum say rabita bahut kam hota tha..sirf bachon ki hadd tak…Abu ab bhi kehtay thay kay Allah say dua karo sab theek ho jayega...unki yeh baat mujhay phir umeed dila deti… ab may yeh samajhta tha apnay liye nahi bachon kay liye hi wapas aa jaye… Allah say dua mangta tha kay us ka dil narm kar day.