Monday, February 1, 2021

Kon hay tu - Part 18

Phir kulthum kay citizenship exam ki date aa gayee. Us test kay liye hamain Canada ka government system kay baaray may ratta lagana parta hay. Us ko to yaad hi nahi hota tha. Poora hafta us ko page by page yaad karwaya...woh baar baar bhool jaati thi. Finally us nay test diya aur clear kia. Phir us ki oath ceremony hui aur woh citizen ban gayee. 

Passport issue honay Kulthum aur Haleema indonesia chalay gaye… aur wahan per jab bhi un say baat hoti thi to mujhay mehsoos hota tha keh yeh sahi decision tha.. Woh kafi relaxed lagti thi phone per aur haleema ko to royal proctocol milta tha wahan. Ek maheena indonesia may rehnay kay baad woh wapas aa gayee. Phir us nay ziyada tar waqt ghar may hi guzara.. Kabhi kabhar dukan per aa jati thi taakay kitchen ki khabar lay sakay. 

Jab delivery ka time aaya to may Kulthum kay saath tha. Us per duain parh parh kar phoonta raha. Ab woh larai karnay ki bhi himmat nahi thi kay naam kia ho ga. Main nay soch rakha tha kay kuch bhi ho jaye phir nahi laroonga. Delivery ki raat may phir say us kay saath labour room may tha. Haleema hamari ek employee Amma Taghreed kay ghar thi. Taghreed haleema say bahut piyar karti thi. Agar ammi zinda hoti to shayad usi ki umar ki hoteen. 

Yeh delivery Haleema ki dafa ki tarah mushkil nahi thi. Lekin phir bhi raat kay pichlay pehr hi delivery hui. Is dafa mera shehzada Saifullah duniya may aaya. Kulthum ko haath may pakraya to us nay kaha Saifullah? May nay kaha haan. Saifullah kay kaan may azaan di… tehneeq ki… aur us kay kaan may kaha… Tumhara naam Saifullah hay… Allah ki talwar banNa hay tujhay… Saifullah bahut healthy baby tha… aur Kulthum bhi aglay hi din wapas ghar aa gaee thi. Ab woh mukammal taur per ghar per thi jab tak Saifullah thora bara na ho jata. Roz kulthum kitchen kay staff say baat karti thi. Jo instructions deni hoteen woh deti thi. 

Ab may bhi kitchen kay staff ki help karta kabhi kabhar taakay khanay kay orders pooray ho sakain. Koi 2-3 maheenay baad hamaray 2 employees chor kar chalay gaye. Kulthum ko majbooran wapas aana parah.  Phir say hamari routine pehlay jaisi ho gayee. Sach baat to yeh hay kay agar may khud kitchen handle kar sakta to may kabhi bhi kulthum ko wahan kaam na karnay deta. Kulthum nay kitchen ka saara nizaam set kia tha is liye us say behtar aur koi nahi jaanta tha kay us ko kaisay chalana hay. Ek masla yeh bhi tha kay kulthum mujhay wahan koi chef rakhnay nahi deti thi.

Saifullah kay aanay kay baad meri zindagi phir rangeen ho gayee thi.. Haleema ko bhai mil gaya tha aur woh us ka bahut khayal rakhti thi. Hum ghar say bhi shift ho kar aik apartment may aa gaye thay jo dukan say 2 min hi door tha. Paidal bhi aaya jaaya ja sakta tha. Kulthum aur main phir long hours karnay lagay...woh saath saath bachon ka bhi khayal karti.. Kaam bhi karti. Raat ko woh mujhay kehti kay bachon ko ghar lay jao, may dukan band kar kay aa jaongi. Kuch arsa phir aisay chalta raha. May subah jaldi aa jata tha aur yeh log dopehr may dukan per aatay thay. 


Mujhay aisay laga kay Saifullah kay aanay kay baad Kulthum thori calmed down ho gaee hay aur us nay cheekhna chilana bhi kam kar diya hay. Jab kabhi waisa hota to may to bus chup kar jaata taakay baat na barhay. Mujhay laga kay ab hamain family per tawajjuh deni hay. Main chahta tha meray 2 betay aur 2 betiyan hon. Saifullah kay paida honay kay taqreeban 2 saal baad hamain phir khabar mili kay kulthum pregnant hay. May is per bahut khush tha. May nay mannat maani kay ab jo baby aaiga us ka aqeeqa restaurant may karoonga… aur saari community ko bulaonga. Saifullah kay aqeeqay per bhi mainay apnay haath say 2 dumbay zibah kiye thay jis ka gosht hum nay community may baant diya tha… lekin is dafa to gosht paka kar sab ko invite karoonga.

Kulthum nay poocha agar beti hui to? Maynay kaha us ka naam khadeeja… jaisa tum nay kaha.. Us nay kaha agar beta hua to? Mayna kaha phir us ka naam Abdullah. Jaisay jaisay delivery kay din qareeb aa rahay thay kulthum ka mood badalta ja raha tha… I think koi hormonal changes thay shayad kabhi pregnancies may aisay ho jaata hay. 


Delivery say taqreeban ek maheena pehlay, ek raat ko achanak kulthum kay pait may dard hua. Usay laga jaisay koi fluid secrete hua hay. Hum ghabra gaey. May usi waqt us ko hospital lay kar gaya. Haleema aur Saifullah ko Amma Taghreed kay paas chor diya. Hospital ponchay to unhon nay ultra sound kia aur kaha kay placenta may kuch complications hain. Mainay poocha kaisi complications? Doctor nay kaha placenta say liquid secrete ho raha hay aur placenta dry ho raha hay. We need to watch this on regular basis and anytime we will feel that its getting dangerous for the baby, we will induce the delivery. 

Doctors nay kaha keh Kulthum ko hospital may dakhil karwana paray ga aur tab tak wahan rakhain gay jab tak delivery na ho jaye. Woh har roz us ka ultrasound karaingay. Meray liye ab bahut bara imtehan tha. Haleema aur Saifullah meray saath ghar may thay… roz un ki take care karna… phir dono ko subah apnay saath shop per lay jata. Saara din shop per kaam karta. Shaam ko dono ko Amma Taghreed kay ghar chor kar hospital chala jaata aur kulthum kay saath 2-3 ghantay guzarta. Agar kisi din us ka koi test waghaira karana hota ya ultra sound hota to us kay liye bhi jaata kiyounkay aur to koi tha na nahi us ki take care karnay kay liye. Woh ek maheena bahut mushkil tha lekin jaisay Allah kehta hay kay har mushkil kay baad asaani hay… to hum bhi asaani kay intezar may baithay thay. Phir woh din aa gaya jab ek aur shehzaday nay hamaray ghar may paon jamanay thay. Is delivery say mujhay bahut darr lag raha tha kiyounkay yeh induced thi per Allah nay karam kia aur Abdullah is duniya may aa gaya. 

Abdullah--- mera sab say chaheeta… jis nay hamain is duniya may aanay tak sooli per latkai rakha..sab behn bhaiyon may rang ka sanwla lekin dil ka mulaim… bahut hi narm dil ka. Agar ikhlas ki koi shakl ho to woh Abdullah hay. Alhamdulillah Kulthum bhi delivery kay baad jald recover kar gaee. Ab hum ghar may 4 janay ho gaey thay… mard honay kay naatay mujhay bahut proud feel hota tha kay hamari family barh rahi hay. 

Kulthum phir kuch maheenon tak ghar may thi taakay Abdullah ki take care kar sakay..Saifullah bhi chota tha. Haleema nay school jana shroo kar diya tha to ab saara din woh school may hoti thi. Ek aurat jo taxi chalati thi woh Haleema ko school lati aur lejati thi. Us ka naam Wanda tha. Phir kuch maheenon baad Kulthum nay kitchen dobara sambhal liya. Jab Kulthum kitchen may hoti, to shop per mera ek employee Uncle Saeed bachon say saara din khelta tha aur busy rakhta tha. Jab bhi bachon ki feed ka time hota Kulthum unko back office may lay jati.

Kulthum ab bhi chirchiri thi… jawab deti thi… lekin mujhay ab yeh sab normal lagta tha. May koshish karta us say na hi uljhoon. Apnay dil ki baat ab main us tarah khul kar nahi kar sakta tha jaisay shroo shroo may karta tha. Woh apna dil bachon say behlaati aur may bhi. Hamaray beech ki communication itni achi nahi thi. Ab bhi kabhi kabhar us ka mood kharab hota to woh cheekh parti per may nay qasam khai thi kabhi react nahi karoonga.