Visitation rights kay settlement kay liye mujhay Kulthum ko 1 talaaq dena pari kiyounkeh us nay shart rakh di thi aur may bachon say door nahi reh sakta tha. Halaankay is 1 talaaq say Canadian govt kay nazdeek shadi per koi asar nahi parhta tha, woh phir bhi usay Separated hi count kartay thay lekin hamaray deen kay hisab say to talaq hi thi. 40 din guzar gaey aur kulthum rujoo karnay per razamand na hui.
Battleford say wapas aanay kay baad maynay Taxi chalana shroo kar di. Taxi kay kaam may sochnay ko kuch nahi hota tha aur mera dimagh har waqt kulthum aur bachon ko sochta rehta tha. Phir taxi may chahay may 10 ghantay kaam karoon ya ziyada, yeh meray ooper tha. Mujhay apna dimagh busy rakhnay kay liye is say ziyada achi job nahi mil sakti thi. May roz taqreeban 15-16 ghantay taxi chalata.. Us waqt tak chalata jab tak aankhein neend say band na honay lag jaateein. Phir ghar ja kar so jaata, uthta to phir taxi lay kar nikal parta..Sirf intezar karta kay Sunday kab aayega aur may bachon ko mil sakoonga. Sunday aata to bachon ki har farmaish poori karta… icecream, candies, jo woh mangtay kiyounkeh ek hi din to tha unkay saath bitaanay kay liye.
Phir ek din jab bachay meray paas aai huay thay, Ubaidullah nay kaha keh us kay pait may dard hay. May nay samjha koi gas waghaira ho gi. Us ko thora sa eno pani may daal kar pilaya per araam nahi aaya. Bilkul naheef sa ho raha tha aur har waqt leta rehta tha. Mujhay fikr hui. Mainay kulthum ko kaha kay may us ko hospital lay kar ja raha hoon aur waheen say us ko update karoonga. Jab hospital gaey to doctors nay kaha kay saans ka masla lagta hay. Unhon nay us kay test kiye to pata chala pneumonia ho gaya hay. Jab xray report aai to doctor bhi preshan thay kay pneumonia pooray lungs may phail chuka tha. Unhon nay ubaidullah ko forun hospital may daakhil kar diya aur kaha kay us ko 24 hours monitor kareingay. May nay kulthum ko bataya to woh bhi bahut tension may aa gayee. Un dinon woh yahan kay ek college say teachers diploma ka course kar rahi thi. Us ki roz 8 ghantay classes hoti theen aur har waqt koi na koi exam chal raha hota tha.
Woh usi waqt hospital aai aur mujhay kaha kay main ghar chala jaaon aur bachon ka khayal karoon. Yeh itni close meri kulthum say pehli mulaqat thi court hearing kay baad. Haleema, Saifullah aur abdullah teenon school jaatay thay. May nay kulthum say kaha may un ki take care kar loonga. Kulthum boli.. Tumharay kaam ka kiya hoga.. May nay kaha kaam ki tension na lo.. May dekh loonga. Us waqt meray dil may ek nayee umeed jaag rahi thi.. Shayad Allah nay ubaidullah kay zareeay hamain ikatha karna tha. Meri kulthum say roz hospital may mulaqat honay lagi aur hum mukhtalif topics per baat karnay lagay.. Kabhi kabhi to bilkul aisa lagta jaisay hum ghar may baithay hain.. Kulthum mujh say baat kartay huay bahut ehtiaat say kaam leti.. Yeh us ki nature kay bahut khilaaf lag raha tha. Mujhay aisa lagnay laga jaisay us ko bhi apni ghaltiyon ka eshsaas hua hay. Mujh may himmat na hui kay us say poochon kay kia woh wapas meray ghar aaigi… bus us say baat karta yeh samajh kar kay aaj ka din to guzar jaye.. Kal ki kal dekhi jayegi. Kulthum nay college jana chor diya tha aur us kay teachers kay message aa rahay thay kay agar us nay classes dobara attend na keen, to us ka admission khatam kar dengay. Kulthum ka to bus yahi response tha.. Apnay bachay ko chor kar kahan jaaoon. Mainay kaha apnay supervisor ko email likho aur saari baat batao…. Shayad woh koi hal tajweez karay. Us ki email bhi mainay likh kar di. Supervisor usi din kuch teachers kay saath ubaidullah ko dekhnay hospital aaye. Us nay kulthum ko kaha kay agar woh apni assigments saari complete kar lay aur exam likh lay to pass ho sakti hay. Ab kulthum to taqreeban 2 maheenay ki classes miss kar chuki thi aur us ka koi mood nahi tha assignments karnay ka. May nay kaha assignments ikathi to karo… dikhao kia karna hay.
Phir wohi hua jo hamesha hota aaya tha…. Us ki saari assigments may nay aur Gul nay kar kay jama karaeen. Us kay jo online exams thay woh bhi mainay likhay. Nateeja: woh pass ho gayee.
Ubaidullah taqreeban 4 maheenay hospital may raha. Jahan is ki wajah say hum sab bahut thak chukay thay wahan main dil may is baat say khush tha kay kulthum ko meri thori qadr to hui. Aakhri din jab ubaidullah discharge hua.. Mujhay is baat ki fikr khai ja rahi thi kay ab kulthum say mulaqat nahi ho payegi….to ghar chortay hi mainay us say poocha...kia tumhara dil nahi karta kay hum ikathay rahain aur yeh family sab ikathi ho.. Us nay kaha.. Nahi… mera faisla change nahi hua hay… agar tum nay aisi batain karni hain to main tumhari gari may nahi baithoongi. Is baat nay phir dil tor diya tha… aah.. Kulthum aakhir chahti kia hoo..
Is waqiah kay baad kulthum may thori to narmi yeh aai kay ab woh mujhay bachon ko ziyada waqt apnay saath rehnay deti. Kabhi kabhar to poora poora hafta. Ab may waqi bachon kay saath connect karnay laga… unko quran parhana shroo kia… aur bahut batain kartay thay hum deen say mutalliq. Haleema kay bhi bahut sawal hotay thay aur kai sawal to aisay kay mujhay jawab detay sharm aa jati.. Phir us ko kehta kay ammi say poochna.
Us kay baad kulthum ki job lag gayee.. Har roz kisi different school may jaana hota tha usay. Woh subah mujhay phone karti kay us ko drop kar doon. May ghulamon ki tarah hazir. Kabhi yahan kabhi wahan. Yeh ihsaas hota tha kay woh mujhay istimaal kar rahi hay lekin us baaray may main sochna nahi chaahta tha… yeh samajhta tha kay ab us ka dil badal jayega… ab badal jayega… Halaankay us ki job shroo ho gayee thi per abhi us ki official graduation nahi hui thi college say. Us nay jab ghar walon ko bataya kay fulan date ko us ki graduation hay, to ek behan Sister wiwik nay kaha kay woh Canada aayegi graduation attend karnay. Sister wiwik nay mujhay message kia aur kuch help maangi visit visa ki application kay liye. Apnay visa aur ticket ka sab us nay hi pay kia tha. Sister wiwik aai to bachay bhi khush kay khala aai hay.
Sister wiwik aur kulthum ki nature may bahut farq hay. Sister wiwik ki soch mujh say ziyada qareebtar hay. Khair graduation ka din aaya to main sab ko convocation hall may lay gaya.. Takreeban 3000 students ki graduation thi us din. May nay kulthum ko aik camera bhi gift kia us ki graduation per. Sister wiwik samajhti thi kay may kulthum kay saath wapas milna chahta hoon aur main chahta tha kay woh meri help karay. Graduation kay baad school ki chutiyan ho gayeen. Sab bachon nay kaha sair per jaana hay. Main sab bachon kulthum aur sister wiwik ko lay kar long drive per gaya. 2 din ka trip tha.. Bachon nay bahut enjoy kia. Mera to ek hi mann tha kay us kay dil may bhi koi chingari bharkay… lekin aisa na hua.. Ya hua per mujhay pata na chala. Hum wapas aa gaye.. Us kay baad Sister wiwik aur kulthum may roz hi koi problem hoti… sister wiwik kehti kay tum bahut fuzool kharch ho.. Bachon ko ghar par khana bana kar kiyoun nahi deti...kulthum har doosray din mall aur shopping per jaati. Aksar jab un ki shopping khatam hoti to woh mujhay call kartay aur main un ko ghar chor deta. Sister wiwik kay jaanay say ek din pehlay woh dono mall gaey aur waheen kisi baat per jhagra ho gaya. Mujhay call kia.. Main wapas chornay ja raha tha… to rastay may dono larr rahay thay aur ro bhi rahay thay.. Mujhay kulthum per ghussa aa raha tha kay kiyoun zaban darazi kar rahi hay lekin may nay us ko mana nahi kia.. Bus dabbay lafzon may kaha kay chup ho jao woh bari hain. Per hamaisaha ki tarah woh jab ghussay may hoti hay to kisi ki care nahi karti. Ghar chora to sister wiwik nay kaha mujhay kuch aur market say lena hay… mujhay lay jaogay… maynay kaha kiyoun nahi. Kulthum ghar utar gayee aur sister wiwik ko lay kar may wahan say nikal aaya. Woh darasal mujh say baat karna chahti thi.
Sister wiwik nay aansoo poonchtay huay mujhay kaha kay woh meri choti behan hay per mujhay pata hay woh ghalat hay. Hamaray khandaan kay sab log tumhay qusoor war thehratay hain aur mujhay bhi bahut mayusi hui thi jab pata chala tha kay tum nay kulthum per haath uthaya hay. Lekin mujhay ab samajh aati hay kay tumhain ghussa kiyounkar aaya ho ga. Kehnay lagi.. Tumhari bari behan honay kay naatay tumhain kehti hoon kay kulthum ko bhool jao aur kisi achi aurat say shadi karo jo tumhay samjhay… phir talqeen ki namaz baqaidgi say parho.. Allah say khair mango apnay liye bhi aur bachon kay liye bhi. Agar may samajhti kay kulthum tumharay imaan kay liye achi hay to bahut koshish karti us ko mananay ka liye per woh ab bahut badal gaee hay.. Woh apnay maan baap tak say baat nahi karti…. Behan jo itnay door say aai hay paisa kharch kar kay us say kaisay baat ki hay us nay, to may kaisay expect karoon kay woh tumhay izzat day gi.
Main sister wiwik ki batain sun kar bahut ghamgeen ho gaya lekin dil may aik baat thi… kulthum say aik baar aur poochon shayad maan jaye.
Sister wiwik wapas chali gayee aur mujh may himmat na hui kay kulthum say is topic per dobara baat kar sakoon. Donon behnon may khuda jaanay kia jhagra hua tha kay aajtak dono aapas may nahi boltein. Us kay baad taqreeban ek saal tak kulthum aur meray darmiyan raabita to raha, baat bhi ho jaati thi per koi improvement na hui. May is umeed may hi tha kay woh sab kuch bhool kar wapas aa jayegi per woh apnay iraday may attal thi. 2020 kay ramadan kay baad eid aai to may nay tahiyya kia kay mujhay is ka faisala karna hay kay us kay kia iraday hain. Mujhay yeh haan naan wali relationship bilkul pasand na thi. Eid say ek din pehlay mainay us say phir face to face poocha kay kia woh mujh say dubara nikah karegi. Us nay saaf inkaar kar diya aur kaha kay may ab tum per trust nahi kar sakti. Yeh meray liye ab ek red line thi. Is kay baad to koi jawaz nahi rehta tha. Woh kehtay hain na jab wapsi ka koi raasta khula rakha ho to imaan kamzor ho hi jaata hay… mujhay pata tha kay woh mujh say dobarah nikah kar sakti hay kiyounkay mainay us ko ek hi talaq di thi..to dil kay kisi konay may yeh baat to thi kay Allah dil kay halaat badal deta hay… per itni dafa inkaar ka matlab inkaar hi tha. May nay dill ko samjha liya kay ab koi chance nahi hay.
Dill kay is faislay nay jahan mujhay dukh diya wahan ek sukoon bhi tha kay ab haan naan wala chakkar to khatam hua. Aur mujhay bhi ab us ki taraf say umeed khatam kar deni chahye. Kukthum say raabta kam say kamtar hota gaya. Sirf bachon ki hadd tak baat hoti aur bass. Woh bhi shayad apnay kaam may masroof rehnay lagi. Us nay mujhay kabhi call nahi ki kay falan jaga chor do ya falan jaga say pick kar lo… may bhi bachon ki company may khush tham, na us say ziyada sochta, na hi koi umeed lagata.
Phir Nov 2020 may ek raat jab bachay meray paas thay us ka phone aaya. Ro rahi thi aur rotay rotay phone per bataya kay us ki ammi ka inteqal ho gaya hay. Main bhi ghamgeen ho gaya.. Haleema aur saifullah meray saath baithay thay..kulthum speaker phone per thi… un ka rona sun kar un kay bhi aansoo nikal aaye. May nay tasalli di aur kaha kay abhi to corona ki wajah say flights band hain tum wahan janazay may ponch to nahi sakti lekin quran parho, istaghfar karo durood parho duain maango. Us nay kaha.. Acha may chalti hoon… keh kar phone kaat diya.
Aglay din subah may kaam per tha. Jummay ka din tha. Mujhay uljhan ho rahi thi kay kulthum ka na jaanay kia haal ho ga. Us ko call kia.. Shayad ro ro kar us ka gala kharab ho chuka tha. May nay poocha kay kaam per nahi gayee.. Kehnay lagi kay school walon nay ek haftay ki chutti di hay kay ammi ka inteqal ho gaya hay. May nay kaha.. Dekho.. Itnay saal ho gaey hain tum nay masjid may qadam nahi rakha.. Yeh Allah ki taraf say tumhain ek alaamat bhi ho sakti hay…. Aaj jummay ka din hay… masjid may jao namaz parho.. Ammi kay liye maghfirat ki duain mango… quran parho… ab to yahi un kay kaam aana hay.. Phir is say tumhara apna imaan bhi mazboot ho ga… Kehnay lagi.. Mujhay matt kaho masjid jaanay kay liye… may nay kaha kiyoun na kahoon.. Kehnay lagi… chalti hoon… aur phone kaat diya.
May abhi soch hi raha tha kay us ka text aaya. Neechay real conversation hay.
Kulthum:
i think it's time to tell you, I already choose different way.
Me:
What does that mean?
Kulthum:
I was sick and I had dream Jesus hugged and I could feel physically the pain from my body pulled out. He stood infront of me and smiled. His image was not the same with those in the church. He has long hair and he kept smiling at me while he was floating in the air until slowly he moved further and disappeared. I woke up and I felt different that I never felt before in my life .
Me:
Are you in your senses?
Kulthum:
Yes I am. I didn't have that dream last night. Long way back I accepted Jesus, Son of God, The Father and Holy Spirit. Don't ask me why and no one taking part of it. It is my own.
is there any one will come to kill me?
Me:
You betrayed the only true religion of Allah, Islam and the religion of Mohammad Arabi to go after a corrupt religion. This is more sad to me than the death of your mother
Nobody needs to kill you.. You killed yourself.
Kulthum:
You don't need to be sad.
Me:
I can't believe the fall from grace. Your parents groomed you to be the beacon of Islam and you betrayed their efforts.
Did you tell ibu about that?
Did you tell papa?
Does the sisters know it?
Kulthum:
Not yet.
and I hope you don't interfere between me and kids because I want to tell them by myself .
I never influence kids, they have their own way.
but I want to talk to them by myself.
Me:
You think by betraying the covenant that you had with Allah, you can ever be peaceful? You have lost the hidaya. You remember i told you that the fire you started will come back to you. This is what i meant. You chose that fire.
Why would you choose the path that has no salvation at the end?
Kulthum:
By leaving you and asking for talaq from you ?
Me:
Talaq and leaving is small matter now
How can you do this kulthum? What about all the learning you had about deen? You forgot all that?
The only reason i married you was because of your religion and today you buried that reason.
Kulthum:
funny! That's how most of Muslim men. When it suit you, you mention what ever you wish. And once I started to mentioned the same thing, look all those bla bla bla bla
Me:
What relationship did i have with you? You are not from my family, not from my country, you don't even speak my language. What business did i have to even form a relationship with you. It was your religion that was common with me. It is very convenient for you to dismiss this fact. If you were a Christian from Indonesia, do you even think i would care?
Kulthum:
What's the problem now? So just eat your own words now ===> "all these don't mean much now".
Woh apnay raastay say bhatak chuki thi. Us kay dil dimagh per taalay lag gaey thay.. majazi khuda ki nafi kartay kartay aaj us nay Haqeeqi khuda ki bhi nafi kar di thi… astaghfirullah...May bahut dair sadmay may raha..phir Allah say maafi maangi kay us nay mujh jaisay gunehgar ko kam say kam imaan ki dolat to di hay… reh reh kar bachon ka khayal aa raha tha kay yeh sab jab un ko pata chalay ga to un ka kia reaction ho ga.
Ab kulthum nay har woh naata, rishta, taaluq, torr diya tha jis say wapsi ka raasta ban sakta tha. Jahan ek taraf us kay is faislay say may bahut ghamgeen aur mayoos tha wahan mujhay apna agla imtehan saaf nazar aa raha tha kay apnay bachon ka imaan bachana hay mujhay. Kaheen maan kay piyar may woh Allah kay raastay say na bhatak jayen.
Aah Kulthum!!!… Surayya say zameen per aasman nay hamain day maara.
Deen bhi gaya duniya bhi gayee aur akhrat bhi… Kulthum kaisa ghaatay ka sauda kia tum nay.